Tuesday, October 17, 2006

Tumne Dil Ki Baat Keh Di

Tumne Dil ki Baat keh di,
Aaj yeh accha hua......
Hum tumhe apna samajhte thay, bada dokha hua

Jabh bhi humne kuch kaha, uska asar ulta hua
Aap shayad bhoolte hain, baar-ha aisa hua

Aapki aankhon mein yeh aansoon kahan se aa gaye
Hum to deewane hain lekin, aapko ye kya hua

Abh kisi se se kya kahein, Iqbal apni daastan
Bas Khuda ka shukr hai, jo bhi hua accha hua...

4 comments:

Manish Kumar said...

Aapki aankhon mein yeh aansoon kahan se aa gaye
Hum to deewane hain lekin, aapko ye kya hua

ye sher sabse achcha lagta hai is ghazal ka ! Lagta hai Jagjit Singh ko kaphi sunti hain aap ;)

Manish Kumar said...

Gayab ????
Everything fine

Neptune said...

Manish ji,
Bas thik, kuchh uljhanon mein thi, to kuchh likhne ka mann nahin kiya.....

Aapne thik kaha, i really like listening to jagjit singh, aur yeh panktiyan mujhe bhi bahut pasand hain :)......ek aur ghazal yaad aa gayee jise sune huay ab kaafi waqt ho chuka hai, so usay post kar rahi hoon

Anurag "Faakir" said...

Hey, came across your blog while searching for the lyrics of Tumne Dil ki Baat Keh Di... nice collection, I must say. Apart from listening to Ghazals, I try to write some myself as well... do you also write? Do drop in to my blog - misogynistaliens.blogspot.com.