Monday, June 11, 2007

Kuchh mann ki

हमने देखा है ज़माने का बदलना लेकिन
उनके बदले हुए तेवर नहीं देखे जाते

Monday, January 01, 2007

Ajnabi...

Humsafar banke hum, saath hai aaj bhee
Fir bhee hai ye safar, ajnabi ajnabi

Raah bhee ajnabi, mod bhee ajnabi
Jaayen hum kidhar, ajnabi ajnabi

Zindagi ho gayee hai sulagta safar
Door tak aa raha hai dhuaan sa nazar
Jaane kis mod par kho gayee har khushi
Deke dard-e-jigar, ajnabi ajnabi

Humne chun chun ke tinke banaaya tha jo
Aashiyaan hasraton se sajaaya tha jo
Hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhee
Lag raha hai magar, ajnabi ajnabi

Kisko maaloom tha din ye bhee aayenge
Mausamon kee tarah dil badal jaayenge
Din hua ajnabi raat bhee ajnabi
Har ghadi har pahar, ajnabi ajnabi....

Wednesday, November 22, 2006

Yeh Saaye Hain...

Yeh Saaye Hain
Yeh Duniya Hai
Parchhaiyon Ki,
Bhari Bheed Mein Khaali Tanhaaiyon Ki

Yahan Koi Saahil Sahaara Nahin Hai
Kahin Doobne Ko Kinaara Nahin Hai
Yahan Koi Saahil Sahaara Nahin Hai
Yahan Raunak Hai Ruswaaiyon Ki
Yeh Saaye Hai...

Kai Chaand Humne Jalaye Bujhaye
Bahut Humne Chaaha Zara Neend Aaye
Kai Chaand Humne Jalaye Bujhaye
Yahan Raat Hoti Hai Bezaariyon Ki
Yeh Saaye Hai...

Yahan Saare Chehre Hain Maange Hue Se
Nigaahon Mein Aansoo Bhi Taange Hue Se
Yahan Saare Chehre Hain Maange Hue Se
Badi Neechi Raahen Hain Unchaaiyon Ki
Yeh Saaye Hai...

Sunday, November 12, 2006

Mujhko yakeen hai...

Mujhko yakheen hai sach kehti thi Jo bhi Ammi kehti thi
Jab mere bachpan ke din thay, chand mein pariyaan rehti thi!

Ek ye din jab apnon ne bhi humse naata tod liya
Ek wo din jab ped ki shaakhen bojh hamara sehti thi!

Ek ye din jab saari sadken ruthi ruthi lagti hain
Ek wo din jab aao khele saari galiyan kehti thi!

Ek ye din jab jaagi raaten diwaaron ko takti hain
Ek wo din jab shaamon ko bhi palkein bojhal rehti thi!

Ek ye din jab laakhon gham aur kaal pada hai aansoon ka
Ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaan behti thi!

Mujhko yakheen hai sach kehti thi Jo bhi Ammi kehti thi
Jab mere bachpan ke din the, chand mein pariyaan rehti thi!

Tuesday, October 17, 2006

Tumne Dil Ki Baat Keh Di

Tumne Dil ki Baat keh di,
Aaj yeh accha hua......
Hum tumhe apna samajhte thay, bada dokha hua

Jabh bhi humne kuch kaha, uska asar ulta hua
Aap shayad bhoolte hain, baar-ha aisa hua

Aapki aankhon mein yeh aansoon kahan se aa gaye
Hum to deewane hain lekin, aapko ye kya hua

Abh kisi se se kya kahein, Iqbal apni daastan
Bas Khuda ka shukr hai, jo bhi hua accha hua...

Thursday, October 12, 2006

Mujhko bhi tarqeeb sikha do

Marasim se kuchh aur panktiyaan....

Mujhko bhi tarqeeb sikha koi yaar julahe...
Aksar dekha hai tujhko taga bunte...
Jab koi taga toot gaya ya khatm hua...
Phir se jod ke naya sira koi baandh ke usme
Aage bunne lagte ho...
Tere is taane me lekin ik bhi gaanth girah buntar ki dekh nahin sakta hai koi.....
Maine to ik baar buna tha ik hi rishta...
Par uski saari girhen saaf nazar aati hain, mere yaar julahe
Mujhko bhi tarqeeb sikha koi yaar julahe...

Tum Pukaar Lo...

This soulful number from Khamoshi is my all-time favourite.....

Tum Pukaar Lo.....
Tumhaaraa Intezaar Hai.....
Tum....Pukaar Lo.....

Khwaab Chun Rahii Hai Raat, Beqaraar Hai
Tumhaaraa Intezaar Hai...
Tum...Pukaar Lo......

HoNth Pe Liye Huay Dil Kii Baat Ham,
Jaagate Rahe.Nge Aur Kitanii Raat Ham.....
Muqtasar Sii Baat Hai......Tum Se Pyaar Hai
Tumhaaraa Intezaar Hai....
Tum.....Pukaar Lo....

Dil Bahal To Jaayegaa Is Kayaal Se
Haal Mil Gayaa Tumhaara Apane Haal Se...
Raat Ye Qaraar Kii....Beqaraar Hai
Tumhaaraa Intezaar Hai....
Tum Pukaar Lo...

Thursday, September 21, 2006

Ye daulat bhi le lo....

Aksar mann mechanical zindagi se pareshan ho uthta hai....
subeh se shaam tak ghadi ki sui pe chalte chalte thak jaata hai - cell phone mein bajte hua alarm uthne ka ishara karta hai, office cab ka horn chilla ke ghar se nikalne ka order sunata hai, outlook se popup hota hua meeting reminder, shaam ko ghar jaate huay baar baar ghadi aur bahar ka traffic jam dekhna...............subeh se shaam tak ki yeh bechaini.....
kaash !! bachpan ke din kabhi na beete hote.....

Shayad yeh jagjit singh ki sabse lokpriya ghazal hai...

Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani

Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera

Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani

Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna
Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna
Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna
Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tohfe
Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani

Kabhi Re't Ke Oonche Tilon Pe Jaana
Gharonde Banana, Banaake Mitaana
Wo Maasoom Chaahat Ki TasveerApni
Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan
Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani