Monday, May 22, 2006

Chithi na koi sandes....

(Somehow, this beautiful ghazal never fails to bring tears to my eyes....)

Chithi na koi sandes, jaane wo kaunsa des.....
Jahan tum chale gaye....
Is dil pe laga ker thes, jaane wo kaunsa des.....
Jahan tum chale gaye....

Ik aah bhari hogi, humne na suni hogi
Jaate jaate tumne, aawaz to di hogi....
Har waqt yehi he ghum....us waqt kahan thay hum
Kahan tum chale gaye.....

Har cheez pe ashkon se, likha hai tumhara naam....
Ye rastay ghar galiyan, tumhe kar na sake salaam
Har dil mein reh gayee baat, jaldi se chura kar hath
Kahan tum chale gaye......

Abh Yaadon Ke Kaante, Is Dil Mein Chubhte Hain..
Na Dard Theherta Hai, naa aansoon rukte hain....
Tumhe dhoondh raha hai pyaar, hum kaise karein iqraar
Ke haan tum chale gaye.............

Tum ye kaise....

A favourite from 'Love is Blind'...........

Tum ye kaise juda ho gaye
Har taraf har jagah ho gaye

Apna chehra na badlaa gaya
Aayine se khafa ho gaye

Jaane waale gaye bhi kahaan
Chand suraj ghata ho gaye

Bewafa to na wo the na hum
Yuun hua bas juda ho gaye

Aadmi banana aasaan na tha
Sheikhjee aarasa ho gaye

Wednesday, May 17, 2006

Main chahta bhi....

Main chahta bhi yehi tha,wo bewafaa nikle...
Usay samajhne ka koi to silsila nikle.....

Kitaab-e-maazi ke panne ulat ke dekh zara
Na jaane kaun sa panna muda hua nikle

Jo dekhne mein bahut hee karib lagtaa hai
Usi ke baare mein socho to faasila nikle

Monday, May 08, 2006

Ranjish hi sahi...

Ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim na sahii phir bhii
kabhii to rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

kis kis ko bataayenge judaii kaa sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se huun lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum
ai raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummiiden
ye aakhirii shammen bhii bujhaane ke liye aa

The following ashaar are by Talib Baghpati but Mehdi Hassan always sings them as part of this Gazal.......

Maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
Chupke se kisii roz jataane ke liye aa

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
Aise hii kisii roz na jaane ke liye aa

Thursday, May 04, 2006

Aap yun.....

Aap yun faaslon se guzarte rahe
Dil se qadmon ki aavaaz aati rahi

Aahaton se andhere chamakte rahe
Raat aati rahi raat jaati rahi

Gungunaati rahin meri tanhaaiyaan
Door bajti rahin kitni shahnaaiyaan
Zindagi zindagi ko bulaati rahi
Aap yun faaslon se guzarte rahe....dil se qadmon ki aavaaz aati rahi aap yun...

Katraa katraa pighaltaa rahaa aasmaan
Rooh ki vaadiyon mein na jaane kahaan
Ik nadi.. ik nadi dilrubaa geet gaati rahi
Aap yun faaslon se guzarte rahe....dil se qadmon ki aavaaz aati rahi aap yun...

Aap ki garm baahon mein kho jaayenge
Aap ki narm zaanon pe so jaayenge, so jaayenge
Muddaton raat neenden churaati rahi
Aap yun faaslon se guzarte rahe....dil se qadmon ki aavaaz aati rahi aap yun...

Tumhein yaad ho....

Wo jo hum mein tumme qaraar tha tumhe yaad ho ke na yaad ho
Wo hi aani waala nebaahta tumhe yaad ho ke na yaad ho

Wo naye gile wo shikaayate wo maze-maze ki hikaayaten
Wo har ek baat pe roothna tumhe yaad ho ke na yaad ho

Koi baat aisi agar huyee jo tumhaare jee ko buree lagi
To bayaan se pehle hi bhoolna tumhe yaad ho ke na yaad ho

Jise aap ginte the aashnaa jise aap kehte the baawafaa
Main wohi hoon 'momin'-e-mubtila tumhe yaad ho ke na yaad ho

Manzil na de...

Manzil na de, charaag na de, hauslaa to de
tinke ka hi sahee, tu magar aasraa to de

Maine ye kab kaha ke mere haq mein ho jawaab
Lekin khamosh kyoon hai tu koi faislaa to de

Barson main tere naam pe khaata raha fareb
Mere khuda kahan hai tu apna pata to de

Beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar
Lekin mere naseeb mein kya hai bata to de