Sunday, November 12, 2006

Mujhko yakeen hai...

Mujhko yakheen hai sach kehti thi Jo bhi Ammi kehti thi
Jab mere bachpan ke din thay, chand mein pariyaan rehti thi!

Ek ye din jab apnon ne bhi humse naata tod liya
Ek wo din jab ped ki shaakhen bojh hamara sehti thi!

Ek ye din jab saari sadken ruthi ruthi lagti hain
Ek wo din jab aao khele saari galiyan kehti thi!

Ek ye din jab jaagi raaten diwaaron ko takti hain
Ek wo din jab shaamon ko bhi palkein bojhal rehti thi!

Ek ye din jab laakhon gham aur kaal pada hai aansoon ka
Ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaan behti thi!

Mujhko yakheen hai sach kehti thi Jo bhi Ammi kehti thi
Jab mere bachpan ke din the, chand mein pariyaan rehti thi!

2 comments:

Manish Kumar said...

Haan suni hai ye ghazal
purane waqt ke yaadgaar lamhon insaan humesha sanjo kar rakhta hai taki beech beech mein aah bhar sake..
ki haay wo bhi kya din the.

Unknown said...

Eh wo din the great line Ek ye din too great