Thursday, October 12, 2006

Mujhko bhi tarqeeb sikha do

Marasim se kuchh aur panktiyaan....

Mujhko bhi tarqeeb sikha koi yaar julahe...
Aksar dekha hai tujhko taga bunte...
Jab koi taga toot gaya ya khatm hua...
Phir se jod ke naya sira koi baandh ke usme
Aage bunne lagte ho...
Tere is taane me lekin ik bhi gaanth girah buntar ki dekh nahin sakta hai koi.....
Maine to ik baar buna tha ik hi rishta...
Par uski saari girhen saaf nazar aati hain, mere yaar julahe
Mujhko bhi tarqeeb sikha koi yaar julahe...

2 comments:

Manish Kumar said...

acchi lines hain aur gulzar sahab ki aawaaz mein inka asar aur bhi gehra ho jata hai. Sach rishton ki pechidgi , dhagon ki gaanthon se kam jatil thodi hi hai.

Neptune said...

aur agar ek baar kahin gaanth pad jaaye to usay suljhana vakayee kuchh naamumkin sa lagta hai