Wednesday, November 22, 2006

Yeh Saaye Hain...

Yeh Saaye Hain
Yeh Duniya Hai
Parchhaiyon Ki,
Bhari Bheed Mein Khaali Tanhaaiyon Ki

Yahan Koi Saahil Sahaara Nahin Hai
Kahin Doobne Ko Kinaara Nahin Hai
Yahan Koi Saahil Sahaara Nahin Hai
Yahan Raunak Hai Ruswaaiyon Ki
Yeh Saaye Hai...

Kai Chaand Humne Jalaye Bujhaye
Bahut Humne Chaaha Zara Neend Aaye
Kai Chaand Humne Jalaye Bujhaye
Yahan Raat Hoti Hai Bezaariyon Ki
Yeh Saaye Hai...

Yahan Saare Chehre Hain Maange Hue Se
Nigaahon Mein Aansoo Bhi Taange Hue Se
Yahan Saare Chehre Hain Maange Hue Se
Badi Neechi Raahen Hain Unchaaiyon Ki
Yeh Saaye Hai...

4 comments:

Manish Kumar said...

Gulzar -Pancham & Asha Bhosle ki mili juli mithaas hai is song mein.
one of my fav..

Neptune said...

It is amazing how one can relate to songs like these

Manish Kumar said...

How r u Neptune :)
Naye Saal ki hardik shubhkaamnayein !

Neptune said...

Manish ji,

I am fine...
Nav varsh ki shubhkamnaon ke liye bahut bahut dhanyavad. Naya saal aapko bhi mubarak ho