Wednesday, November 22, 2006

Yeh Saaye Hain...

Yeh Saaye Hain
Yeh Duniya Hai
Parchhaiyon Ki,
Bhari Bheed Mein Khaali Tanhaaiyon Ki

Yahan Koi Saahil Sahaara Nahin Hai
Kahin Doobne Ko Kinaara Nahin Hai
Yahan Koi Saahil Sahaara Nahin Hai
Yahan Raunak Hai Ruswaaiyon Ki
Yeh Saaye Hai...

Kai Chaand Humne Jalaye Bujhaye
Bahut Humne Chaaha Zara Neend Aaye
Kai Chaand Humne Jalaye Bujhaye
Yahan Raat Hoti Hai Bezaariyon Ki
Yeh Saaye Hai...

Yahan Saare Chehre Hain Maange Hue Se
Nigaahon Mein Aansoo Bhi Taange Hue Se
Yahan Saare Chehre Hain Maange Hue Se
Badi Neechi Raahen Hain Unchaaiyon Ki
Yeh Saaye Hai...

Sunday, November 12, 2006

Mujhko yakeen hai...

Mujhko yakheen hai sach kehti thi Jo bhi Ammi kehti thi
Jab mere bachpan ke din thay, chand mein pariyaan rehti thi!

Ek ye din jab apnon ne bhi humse naata tod liya
Ek wo din jab ped ki shaakhen bojh hamara sehti thi!

Ek ye din jab saari sadken ruthi ruthi lagti hain
Ek wo din jab aao khele saari galiyan kehti thi!

Ek ye din jab jaagi raaten diwaaron ko takti hain
Ek wo din jab shaamon ko bhi palkein bojhal rehti thi!

Ek ye din jab laakhon gham aur kaal pada hai aansoon ka
Ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaan behti thi!

Mujhko yakheen hai sach kehti thi Jo bhi Ammi kehti thi
Jab mere bachpan ke din the, chand mein pariyaan rehti thi!